Guzar Gai Jo Chaman Par Wo Koi Kya Jaane

guzar gai jo chaman par wo koi kya jaane

jhaDe hue hain bahaar-o-KHizan ke afsane

jahan pe chaak-e-gareban bhi chaak-e-dil ban jae

guzar rahe hain ab un manzilon se diwane

mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya

jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane

tere huzur jinhen kah saki na goyai

mere sukut ne dohra diye wo afsane

nigah-e-ishq mein dair-o-haram ki qaid nahin

kahin bhi shama jale uD chalenge parwane

tamam wusat-e-kaunain ko Dubo denge

chhalak gae jo kahin us nazar ke paimane

na ishtiyaq-e-nazara na e'tibar-e-jamal

Thahar gai hai kahan zindagi KHuda jaane

na sham-e-bazm pe kuchh aanch aaegi 'iqbaal'

KHud apni aag mein jalte rahenge parwane

(1214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Gai Jo Chaman Par Wo Koi Kya Jaane In English By Famous Poet Iqbal Safi Puri. Guzar Gai Jo Chaman Par Wo Koi Kya Jaane is written by Iqbal Safi Puri. Read famous Poem Guzar Gai Jo Chaman Par Wo Koi Kya Jaane for youth and Student by Iqbal Safi Puri. Free Download Guzar Gai Jo Chaman Par Wo Koi Kya Jaane in PDF.