Gardishon Mein Bhi Hum Rasta Pa Gae

gardishon mein bhi hum rasta pa gae

jis gali se chale the wahin aa gae

na-gahan us ne jab pursish-e-haal ki

aankh nam ho gai honT tharra gae

zikr jab bhi chhiDa hai wafa ka kahin

jaane kyun hum ko kuchh dost yaad aa gae

hath ulajhne lage jeb-o-dastan se kyun

ai junun kya bahaaron ke din aa gae

wo nazar uTh gai jab sar-e-mai-kada

KHud ba-KHud jam se jam Takra gae

aise nazuk to 'iqbaal' hum bhi na the

log nadan the hum se Takra gae

(1151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardishon Mein Bhi Hum Rasta Pa Gae In English By Famous Poet Iqbal Safi Puri. Gardishon Mein Bhi Hum Rasta Pa Gae is written by Iqbal Safi Puri. Read famous Poem Gardishon Mein Bhi Hum Rasta Pa Gae for youth and Student by Iqbal Safi Puri. Free Download Gardishon Mein Bhi Hum Rasta Pa Gae in PDF.