Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna

daman-e-dil hai tar tar apna

kaam kar hi gai bahaar apna

jab se taskin de gaya hai koi

aur bhi dil hai be-qarar apna

dekh kar bhi unhen na dekh sake

rah gaya shauq-e-intizar apna

justuju aa gai sar-e-manzil

rah gaya rah mein ghubar apna

wo nazar phir gai to kya hoga

us nazar tak hai e'tibar apna

is ki har jumbish-e-nazar ke sath

ruKH badalti gai bahaar apna

har-nafas hai unhin ki yaad 'iqbaal'

gham hai kaisa sada-bahaar apna

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna In English By Famous Poet Iqbal Safi Puri. Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna is written by Iqbal Safi Puri. Read famous Poem Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna for youth and Student by Iqbal Safi Puri. Free Download Daman-e-dil Hai Tar Tar Apna in PDF.