Duniya Ne Zar Ke Waste Kya Kuchh Nahin Kiya

duniya ne zar ke waste kya kuchh nahin kiya

aur hum ne shaeri ke siwa kuchh nahin kiya

ghurbat bhi apne pas hai aur bhuk nang bhi

kaise kahen ki us ne ata kuchh nahin kiya

chup-chap ghar ke sehn mein faqe bichha diye

rozi-rasan se hum ne gila kuchh nahin kiya

pichhle baras bhi boi thin lafzon ki khetiyan

ab ke baras bhi is ke siwa kuchh nahin kiya

ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk

KHush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya

basti mein KHak aDai na sahra mein hum gae

kuchh din se hum ne KHalq-e-KHuda kuchh nahin kiya

mangi nahin kisi se bhi hamdardiyon ki bhik

'sajid' kabhi KHilaf-e-ana kuchh nahin kiya

(1276) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ne Zar Ke Waste Kya Kuchh Nahin Kiya In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Duniya Ne Zar Ke Waste Kya Kuchh Nahin Kiya is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Duniya Ne Zar Ke Waste Kya Kuchh Nahin Kiya for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Duniya Ne Zar Ke Waste Kya Kuchh Nahin Kiya in PDF.