Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga

dahr ke andhe kuen mein kas ke aawaza laga

koi patthar phenk kar pani ka andaza laga

zehn mein sochon ka suraj barf ki surat na rakh

kohr ke diwar-o-dar par dhup ka ghaza laga

raat bhi ab ja rahi hai apni manzil ki taraf

kis ki dhun mein jagta hai ghar ka darwaza laga

kanch ke bartan mein jaise surKH kaghaz ka gulab

wo mujhe itna hi achchha aur tar-o-taza laga

pyar karne bhi na paya tha ki ruswai mili

jurm se pahle hi mujh ko sang-e-KHamyaza laga

shahr ki saDkon par andhi raat ke pichhle-pahar

mera hi saya mujhe rangon ka shiraaza laga

jaane rahta hai kahan 'iqbaal-sajid' aaj kal

raat din dekha hai us ke ghar ka darwaza laga

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Dahr Ke Andhe Kuen Mein Kas Ke Aawaza Laga in PDF.