GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki

gaDe mardon ne akasr zinda logon ki qayaadat ki

meri rahon mein bhi hail hain diwaren qadamat ki

nai kirnen purane aasman mein kyun jagah paen

wo kafir hai ki jis ne chaDhte suraj ki ibaadat ki

purani siDhiyon par main nae qadmon ko kyun rakhun

giraun kis liye chhat sar pe bosida imarat ki

tera ehsas bhi hoga kabhi meri tarah patthar

nikal jaegi aaine se parchhain nazakat ki

wo mera but tha jis ko main ne apne hath se toDa

ki barson ki ye mehnat ek lamhe mein akarat ki

agar hai nam ki KHwahish to diwaron pe chaspan kar

bana kar jhuT ke rangon se taswiren sadaqat ki

abhi sinon mein lahraate hain meri yaad ke parcham

abhi tak sabt hain mohren dilon par baadshahat ki

abhi sab harf taza hain mukarta kyun hai mani se

syahi KHushk bhi hone nahin pai ibarat ki

koi miThe phalon ki aas mein kyun talKH din kaTe

kise fursat hai 'sajid' aaj-kal sabr-o-qanaat ki

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki In English By Famous Poet Iqbal Sajid. GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download GaDe Mardon Ne Akasr Zinda Logon Ki Qayaadat Ki in PDF.