Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai

ek tabiat thi so wo bhi la-ubaali ho gai

hae ye taswir bhi rangon se KHali ho gai

paDhte paDhte thak gae sab log tahriren meri

likhte likhte shahr ki diwar kali ho gai

bagh ka sab se baDa jo peD tha wo jhuk gaya

phal lage itne ki bojhal Dali Dali ho gai

ab tu darwaze se apne nam ki taKHti utar

lafz nange ho gae shohrat bhi gali ho gai

khinch Dala aankh ne sab aasmanon par hisar

ban chuke jab daere parkar KHali ho gai

subh ko dekha to 'sajid' dil ke andar kuchh na tha

yaad ki basti bhi raaton-raat KHali ho gai

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Ek Tabiat Thi So Wo Bhi La-ubaali Ho Gai in PDF.