Ghaar Se Sang HaTaya To Wo Khaali Nikla

ghaar se sang haTaya to wo KHali nikla

kisi qaidi ka na kirdar misali nikla

chaDhte suraj ne har ek hath mein kashkol diya

subh hote hi har ek ghar se sawali nikla

sab ki shaklon mein teri shakl nazar aai mujhe

qura-e-fal mere nam pe gali nikla

ras aae mujhe murjhate hue zard gulab

gham ka partaw mere chehre ki bahaali nikla

kaT gaya jism magar sae to mahfuz rahe

mera shiraaza bikhar kar bhi misali nikla

raat jab guzri to phir subh hina-rang hui

aasman jagi hui aankh ki lali nikla

raat mujh se bhi to har ghar ke dar-o-baam saje

chand ki tarah mera aks KHayali nikla

taKHt KHali hi raha dil ka hamesha 'sajid'

is riyasat ka to koi bhi na wali nikla

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaar Se Sang HaTaya To Wo Khaali Nikla In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Ghaar Se Sang HaTaya To Wo Khaali Nikla is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Ghaar Se Sang HaTaya To Wo Khaali Nikla for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Ghaar Se Sang HaTaya To Wo Khaali Nikla in PDF.