Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe

har ghaDi ka sath dukh deta hai jaan-e-man mujhe

har koi kahne laga tanhai ka dushman mujhe

din ko kirnen raat ko jugnu pakaDne ka hai shauq

jaane kis manzil mein le jaega pagal-pan mujhe

sada kaghaz rakh ke aaya hun numaish-gah mein

dekh kar hoti thi har taswir ko uljhan mujhe

nachta tha panw mein lamhon ke ghungru bandh kar

de gaya dhoka simaT kar waqt ka aangan mujhe

nekiyon ke phal nahin lagte badi ke peD par

us ne wapas kar diya hai phir tahi-daman mujhe

dosto sun li KHuda ne kal meri pahli dua

sharm se aaKHir jhukani paD gai gardan mujhe

kya mila tujh ko bata andhe se laThi chhin kar

kar diya kyun aas se mahrum jaan-e-man mujhe

sard ho sakti nahin 'sajid' kabhi sine ki aag

dil jalane ko mila hai yaad ka indhan mujhe

(1366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Har GhaDi Ka Sath Dukh Deta Hai Jaan-e-man Mujhe in PDF.