Har Kasi Ko Kab Bhala Yun Mustarad Karta Hun Main
har kasi ko kab bhala yun mustarad karta hun main
tu hai KHush-qismat agar tujh se hasad karta hun main
bughz bhi sine mein rakhta hun amanat ki tarah
nafraten karne pe aa jaun to had karta hun main
koi apne-ap ko manwane wala bhi to ho
manne mein kab kasi ke radd-o-kad karta hun main
kuchh shuuri sath par kuchh la-shuuri taur par
kar-e-fikr-o-fan mein ab sab ki madad karta hun main
is liye mujh se KHafa hain ahl-e-gulshan aaj-kal
rang jhuTlata hun KHushbu mustarad karta hun main
mere jazbon se bachao nek-dil logo mujhe
roz o shab in bad-maashon ki madad karta hun main
dusron ke waste likkha hua lagta hai jhuT
apni sachchai ko akasr aap rad karta hun main
rang par aai hui hai ab junun-KHezi meri
roz o shab tauhin-e-arbab-e-KHirad karta hun main
tauq gardan mein pahanta hun lahu ki dhaar ka
KHalq ko hairan 'sajid' zad-ba-zad karta hun main
(1055) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Iqbal Sajid