KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai

KHatm raaton-raat us gul ki kahani ho gai

rang bosida hue KHushbu purani ho gai

jis se raushan tha muqaddar wo sitara kho gaya

zulmaton ki nazr aaKHir zindagani ho gai

kal ujalon ke nagar mein hadsa aisa hua

chaDhte suraj par diye ki hukmarani ho gai

rah gai thi lal banne mein kami ek aanch ki

aankh se gir kar lahu ki bund pani ho gai

chilla-e-jaan par chaDha kar aaKHiri sanson ke tir

maut ki sarhad mein daKHil zindagani ho gai

KHauf ab aata nahin hai sipiyan chunte hue

dosti apni samundar se purani ho gai

kis jagah aaya hai tu aaankhon ke nilam bhul kar

gham kahan iqbaal-'sajid' ki nishani ho gai

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai In English By Famous Poet Iqbal Sajid. KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download KHatm Raaton-raat Us Gul Ki Kahani Ho Gai in PDF.