Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage

tum mujhe bhi kanch ki poshak pahnane lage

main jise dekhun wahi patthar nazar aane lage

be-sabab ghar se nikal kar aa gae bazar mein

aaina dekha nahin taswir chhapwane lage

dasht mein pahunche to tanhai mukammal ho gai

baDh gai wahshat to phir KHud se hi Takrane lage

KHun ka nashsha chaDha to jism zahrila hua

KHwahishon ke paniyon mein sanp lahrane lage

kuchh nahin hai zehn mein to wahm ki shaklen bana

raushni hogi agar sae nazar aane lage

dekhna chaha to wo aankhon se ojhal ho gaya

chumna chaha to mere honT pathrane lage

rang aaKHir le hi aaya meri sochon ka jumud

barf ke suraj bala ki dhup phailane lage

chal paDe to ho liye 'iqbaal-sajid' apne sath

thak gae to apne hi sae hain sustane lage

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Tum Mujhe Bhi Kanch Ki Poshak Pahnane Lage in PDF.