Us Aaine Mein Dekhna Hairat Bhi Aaegi

us aaine mein dekhna hairat bhi aaegi

ek roz mujh pe us ki tabiat bhi aaegi

qadghan laga na ashkon pe yaadon ke shahr mein

hoga agar tamasha to KHilqat bhi aaegi

main aaina banunga tu patthar uThaega

ek din khuli saDak pe ye naubat bhi aaegi

mausam agar hai sard to phir aag tap le

chamkegi aankh KHun mein hararat bhi aaegi

kuchh der aur shaKH pe rahne de sabr kar

pakne de phal ko khane mein lazzat bhi aaegi

aankhen hain tere pas to phir sath-e-ab par

gahrai se ubhar ke ibarat bhi aaegi

niklen charagh hath mein le kar gharon se log

suraj ki rah mein manzil-e-zulmat bhi aaegi

ye jaanta to kaTta 'sajid' na sae ko

talwar par lahu ki tamazat bhi aaegi

(1299) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Aaine Mein Dekhna Hairat Bhi Aaegi In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Us Aaine Mein Dekhna Hairat Bhi Aaegi is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Us Aaine Mein Dekhna Hairat Bhi Aaegi for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Us Aaine Mein Dekhna Hairat Bhi Aaegi in PDF.