Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega

wo chand hai to aks bhi pani mein aaega

kirdar KHud ubhar ke kahani mein aaega

chaDhte hi dhup shahr ke khul jaenge kiwaD

jismon ka rahguzar rawani mein aaega

aaina hath mein hai to suraj pe aks Dal

kuchh lutf bhi suragh-rasai mein aaega

raKHt-e-safar bhi hoga mere sath shahr mein

sahra bhi shauq-e-naql-e-makani mein aaega

phir aaega wo mujh se bichhaDne ke waste

bachpan ka daur phir se jawani mein aaega

kab tak lahu ke habs se garmaega badan

kab tak ubaal aag se pani mein aaega

surat to bhul baiTha hun aawaz yaad hai

ek umr aur zehn girani mein aaega

'sajid' tu apne nam ka katba uThae phir

ye lafz kab libas-e-maani mein aaega

(4563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Wo Chand Hai To Aks Bhi Pani Mein Aaega in PDF.