Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha

wo dost tha to usi ko adu bhi hona tha

lahu pahan ke mujhe surKH-ru bhi hona tha

sunahri hath mein taza lahu ki fasl na di

ki apne haq ke liye jang-ju bhi hona tha

bagula ban ke samundar mein KHak uDana thi

ki lahar lahar mujhe tund-KHu bhi hona tha

mere hi harf dikhate the meri shakl mujhe

ye ishtihaar mere ru-ba-ru bhi hona tha

kashish thi phul si is mein to la-mhaala mujhe

asir-e-rang giraftar-e-bu bhi hona tha

saza to milna thi mujh ko barahana lafzon ki

zaban ke sath labon ko rafu bhi hona tha

safar ka bojh uThane se peshtar 'sajid'

mizaj-dan-e-rah-e-justuju bhi hona tha

(1240) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Wo Dost Tha To Usi Ko Adu Bhi Hona Tha in PDF.