Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein

wo musalsal chup hai tere samne tanhai mein

sochta kya hai utar ja baat ki gahrai mein

surKH-ru hone na paya tha ki pila paD gaya

chand ka bhi hath tha jazbaat ki paspai mein

be-libasi hi na ban jae kahin tera libas

aaine ke samne pagal na ho tanhai mein

tu agar phal hai to KHud hi TuT kar daman mein aa

main na phekunga koi patthar teri angnai mein

raat-bhar wo apne bistar par paDa rota raha

dur ek aawaz banjar ho gai shahnai mein

daere baDhte gae parkar ka munh khul gaya

wo bhi daKHil ho gaya ab sarhad-e-ruswai mein

habs to dil mein tha lekin aankh tap kar rah gai

raat sara shahr Duba dard ki purwai mein

aankh tak bhi ab jhapakne ki mujhe fursat nahin

naqsh hai diwar par taswir hai binai mein

log wapas ho gae 'sajid' numaish gah se

aur main khoya raha ek mahshar-e-ranai mein

(1533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein In English By Famous Poet Iqbal Sajid. Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein is written by Iqbal Sajid. Read famous Poem Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein for youth and Student by Iqbal Sajid. Free Download Wo Musalsal Chup Hai Tere Samne Tanhai Mein in PDF.