Ab Dil Ko Humne Banda-e-jaanan Bana Diya

ab dil ko hum ne banda-e-jaanan bana diya

ek kafir-e-azal ko musalman bana diya

dushwariyon ko ishq ne aasan bana diya

gham ko surur dard ko darman bana diya

is jaan-faza itab ke qurban jaiye

abru ki har shikan ko rag-e-jaan bana diya

barq-e-jamal-e-yar ye jalwa hai ya hijab

chashm-e-ada-shanas ko hairan bana diya

ai zauq-e-jushtuju teri himmat pe aafrin

manzil ko har qadam pe gurezan bana diya

uTThi thi bahr-e-husn se ek mauj-e-be-qarar

fitrat ne is ko paikar-e-insan bana diya

ai soz-e-na-tamam kahan jae ab KHalil

aatish-kade ko bhi to gulistan bana diya

waraftgan-e-shauq ko kya dair kya haram

jis dar pe di sada dar-e-jaanan bana diya

aansu ki kya bisat magar josh-e-ishq ne

qatre ko mauj mauj ko tufan bana diya

kya ek main hi main hun is aaina-KHane mein

mujh ko to kashf-e-raaz ne hairan bana diya

(1751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Dil Ko Humne Banda-e-jaanan Bana Diya In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Ab Dil Ko Humne Banda-e-jaanan Bana Diya is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Ab Dil Ko Humne Banda-e-jaanan Bana Diya for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Ab Dil Ko Humne Banda-e-jaanan Bana Diya in PDF.