Anjam-e-wafa Bhi Dekh Liya Ab Kis Liye Sar KHam Hota Hai

anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar KHam hota hai

nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai

mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar

dariyaon ke sangam se baDh kar tahzib ka sangam hota hai

kuchh ma-o-shuma mein farq nahin kuchh shah-o-gada mein bhed nahin

hum baada-kashon ki mahfil mein har jam ba-kaf jam hota hai

diwanon ke jubba-o-daman ka uDta hai faza mein jo TukDa

mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai

mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta

us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai

ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tariKH-e-haram

iman ke jahan paDte hain qadam paida wahin zamzam hota hai

(1240) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Anjam-e-wafa Bhi Dekh Liya Ab Kis Liye Sar KHam Hota Hai In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Anjam-e-wafa Bhi Dekh Liya Ab Kis Liye Sar KHam Hota Hai is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Anjam-e-wafa Bhi Dekh Liya Ab Kis Liye Sar KHam Hota Hai for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Anjam-e-wafa Bhi Dekh Liya Ab Kis Liye Sar KHam Hota Hai in PDF.