Ye Itr Be-ziyan Nahin Nasim-e-nau-bahaar Ki

ye itr be-ziyan nahin nasim-e-nau-bahaar ki

uDa ke lai hai saba shamim zulf-e-yar ki

bas itni kaenat hai hayat-e-mustaar ki

shabab hai habab ka bahaar hai sharar ki

fareb-kariyan na puchh josh-e-intizar ki

tamam shab suna kiye sada KHiram-e-yar ki

ye muKHtasar si dastan hai jabr-o-iKHtiyar ki

karishma-saz koi ho KHata gunahgar ki

haqiqat-e-fareb-e-husn aalam aashkar ki

ye ibtida-e-fatah hai junun-e-puKHta-kar ki

mujhe to aankh khulte hi qafas ki tiliyan milin

meri bala se gar chaman mein fasl hai bahaar ki

tere nisar zaKHm-e-ishq kuchh wo lazzaten milin

balaen le raha hai dil KHadang-e-jaan-shikar ki

rah-e-talab ki lazzaten hain aur himmat aafrin

ye talKHiyan hain talKHiyan sharab-e-KHush-gawar ki

'suhail' teri shairi hai ya fusun-e-samari

rawaniyan hain nazm mein KHiram-e-ju-e-yar ki

(2487) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Itr Be-ziyan Nahin Nasim-e-nau-bahaar Ki In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Ye Itr Be-ziyan Nahin Nasim-e-nau-bahaar Ki is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Ye Itr Be-ziyan Nahin Nasim-e-nau-bahaar Ki for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Ye Itr Be-ziyan Nahin Nasim-e-nau-bahaar Ki in PDF.