Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se

zabanon par nahin ab tur ka fasana barson se

tajalli-gah-e-aiman hai dil-e-diwana barson se

kuchh aisa hai fareb-e-nargis-e-mastana barson se

ki sab bhule hue hain kaba o but-KHana barson se

wo chashm-e-fitnagar hai saqi-e-mai-KHana barson se

ki baham laD rahe hain shisha o paimana barson se

na ab mansur baqi hai na wo dar-o-rasan lekin

faza mein gunjta hai nara-e-mastana barson se

chaman ke naunihaal is KHak mein phulen phalen kyunkar

yahan chhaya hua hai sabza-e-begana barson se

ye aankhen muddaton se KHugar-e-barq-e-tajalli hain

nasheman bijliyon ka hai mera kashana barson se

tere qurban idhar bhi ek jhonka abr-e-rahmat ka

jabinon mein girah hai sajda-e-shukrana barson se

'suhail' ab kis ko sajda kijiye hairat ka aalam hai

jabin KHud ban gai sang-e-dar-e-jaanana barson se

(1206) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Zabanon Par Nahin Ab Tur Ka Fasana Barson Se in PDF.