Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin

zindan-nasib hun mere qabu mein sar nahin

mera sujud un ke liye mo'atabar nahin

kya hai fareb nargas-e-ghammaz agar nahin

be-wajh tu kashakash-e-qalb-o-jigar nahin

taqsim-e-gul pe bahs anadil mein chhiD gai

gulzar luT raha hai kuchh us ki KHabar nahin

lazzat-shanas-e-gham ko hai izhaar-e-gham haram

rota hun aur daman-e-mizhgan bhi tar nahin

mere sujud-e-shauq se ho jae be-niyaz

itna buland hausla-e-sang-e-dar nahin

yun baghban ne himmat-e-parwaz chhin li

aisi bhari bahaar hai aur ek par nahin

tahsin-e-na-shanas ka bhuka nahin 'suhail'

main aabru-farosh-e-mata-e-hunar nahin

(995) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin In English By Famous Poet Iqbal Suhail. Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin is written by Iqbal Suhail. Read famous Poem Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin for youth and Student by Iqbal Suhail. Free Download Zindan-nasib Hun Mere Qabu Mein Sar Nahin in PDF.