Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho

ab ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar ho ki na ho

zindagi saya-e-gesu mein basar ho ki na ho

mujh ko rakhna hi tha aadab-e-mohabbat ka KHayal

mere shane pe kal us shoKH ka sar ho ki na ho

aaj har baat meri qaul-e-KHudawandi hai

kal meri baat pe yun jumbish-e-sar ho ki na ho

jaane kis moD pe le aai mujhe umr-e-rawan

sochta hun ye teri rahguzar ho ki na ho

kyun na ji bhar ke ab ashkon se charaghan kar lun

yun koi raat phir aankhon mein basar ho ki na ho

sae mein jin ke andheron ke siwa kuchh bhi nahin

un charaghon ko bujha dunga sahar ho ki na ho

mere gham-KHane mein aate hue ummid ki zau

puchhti hai ki udhar mera guzar ho ki na ho

aaj jo kahna ho ai husn KHud-ara kah le

kal teri bazm mein 'iqbaal'-umar ho ki na ho

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho In English By Famous Poet Iqbal Umar. Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Ab Ilaj-e-dil-e-bimar-e-sahar Ho Ki Na Ho in PDF.