Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi

chhaton pe aag rahi baam-o-dar pe dhup rahi

sahar se sham talak bahr-o-bar pe dhup rahi

bahut dinon se jo baadal idhar nahin aae

daraKHt sukhe rahe rahguzar pe dhup rahi

kuchh aise waqt pe nikle the apne ghar se hum

jahan jahan bhi gae apne sar pe dhup rahi

ghurub ho gaya suraj magar fazaon mein

wahi tapish hai ki jaise nagar pe dhup rahi

rawish rawish pe raha aaftab ka saya

jahan-e-ghuncha-o-barg-o-samar pe dhup rahi

araq araq hai jabin pairahan pasina hai

bashar hi jaane ki kaisi bashar pe dhup rahi

jahan-e-karb-o-bala hum ko yaad aaya hai

kuchh aisi ab ke hamare nagar pe dhup rahi

rawan-dawan hamein phirna tha dasht-e-ghurbat mein

kabhi jo ghar mein rahe hain to ghar pe dhup rahi

usi parinde ki surat hamein bhi jina tha

jo din ko uDta raha baal-o-par pe dhup rahi

tamam din mujhe suraj ke sath chalna tha

mere sabab se mere ham-safar pe dhup rahi

yahi to soch ke 'iqbaal' ko nadamat hai

shajar ke sae mein hum aur shajar pe dhup rahi

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi In English By Famous Poet Iqbal Umar. Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Chhaton Pe Aag Rahi Baam-o-dar Pe Dhup Rahi in PDF.