Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui

doston mein waqai ye bahs bhi aksar hui

haar kis ke sar hui hai jit kis ke sar hui

zehn be-paikar hua aur aql be-manzar hui

dil to patthar ho chuka tha aankh bhi patthar hui

log kahte hain ki qadr-e-mushtarak koi nahin

is KHarabe mein to sab ki zindagi dubhar hui

roz-o-shab aKHbar ki KHabron se bahlata hun ji

ye samajhta hun ki ab to raushni ghar ghar hui

zehn mein aane lage phir na-pasandida KHayal

wo kahani kaise bhulen naqsh jo dil par hui

dukh-bhari aawaz sunta hun to hota hun udas

ye KHata Thahri to mujh se ye KHata aksar hui

ek zamane se to bas 'iqbaal' apni zindagi

dard ka bistar hui ehsas ki chadar hui

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui In English By Famous Poet Iqbal Umar. Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Doston Mein Waqai Ye Bahs Bhi Aksar Hui in PDF.