Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua

main ki waqf-e-gham-e-dauran na hua tha so hua

chaak ab tak jo gareban na hua tha so hua

par dil ke koi paikan na hua tha so hua

yun kabhi dard ka darman na hua tha so hua

koi wada koi paiman na hua tha so hua

itna nadan dil-e-nadan na hua tha so hua

Dubte rahte the har rose hazaron suraj

phir bhi ashkon se charaghan na hua tha so hua

kya kahun lala-e-pur-KHun ko ki jis ke bais

mushtahar jo gham-e-insan na hua tha so hua

is se pahle ki teri yaad ke baadal chhaen

mujh ko andaza-e-tufan na hua tha so hua

hai asar meri hi aashufta-sari ka shayad

wo mujhe dekh ke hairan na hua tha so hua

hae wo ek nazar lutf-o-karam se jis ke

tujh se bhi jo gham-e-dauran na hua tha so hua

shukriya un ke sitam ka ki yun hi ai 'iqbaal'

aaj tak mujh pe jo ehsan na hua tha so hua

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua In English By Famous Poet Iqbal Umar. Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Main Ki Waqf-e-gham-e-dauran Na Hua Tha So Hua in PDF.