Mausamon Ki Baaton Tak Guftugu Rahi Apni

mausamon ki baaton tak guftugu rahi apni

main ne kab kahi apni tum ne kab suni apni

KHatm hi nahin hote silsile sawalon ke

silsile sawalon ke aur KHamushi apni

ek had pe qaem hai ghaTti hai na baDhti hai

tirgi zamane ki aur raushni apni

kuchh hasin taswiren rah gain nigahon mein

warna kya guzar pati sham-e-zindagi apni

fasl-e-gul ke hangame aarzi to hote hain

yun nahin guzar jate jaise zindagi apni

kuchh udas logon ne mera haal puchha tha

warna kaun karta hai arz waqai apni

is KHata ne mujh ko bhi sharmsar kar Dala

shahr ke raison se dosti na thi apni

kuchh KHushi ke aansu bhi ashk-e-gham ke sath aae

apne jaise logon se jab ghazal suni apni

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausamon Ki Baaton Tak Guftugu Rahi Apni In English By Famous Poet Iqbal Umar. Mausamon Ki Baaton Tak Guftugu Rahi Apni is written by Iqbal Umar. Read famous Poem Mausamon Ki Baaton Tak Guftugu Rahi Apni for youth and Student by Iqbal Umar. Free Download Mausamon Ki Baaton Tak Guftugu Rahi Apni in PDF.