Main Sunta Rahta Hun Naghme Kamal Ke Andar

main sunta rahta hun naghme kamal ke andar

kai sadaen parindon mein Dal ke andar

jo wahime mera andar ujaD sakte hain

main rakh raha hun unhen bhi sambhaal ke andar

tamam masale nauiyat-e-sawal ke hain

jawab hote hain sare sawal ke andar

jagah jagah pe koi to hazar-ha nashtar

utarta hai rag-e-ehtimal ke andar

tarah tarah ke gulab aatishin salaKH ke sath

nikal lata hun suraKH Dal ke andar

ye silsila zara mauquf ho to dekhunga

KHayal aur hain kitne KHayal ke andar

taDapte rahte hain dil ke nawah mein 'jawed'

bahut se azhdahe jibhen nikal ke andar

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Sunta Rahta Hun Naghme Kamal Ke Andar In English By Famous Poet Iqtidar Javed. Main Sunta Rahta Hun Naghme Kamal Ke Andar is written by Iqtidar Javed. Read famous Poem Main Sunta Rahta Hun Naghme Kamal Ke Andar for youth and Student by Iqtidar Javed. Free Download Main Sunta Rahta Hun Naghme Kamal Ke Andar in PDF.