Chait Ka Phul

main chait ka phul hun

aur

aakif hun miTTi ke niche

ye chila-kashi hai

kisi aur haiat mein Dhalne ki

chaalis raaton ka chala hai

bhaari kinaron ka tilla hai

dariya se uDti hawa

apni lahron-bhari shaal phailae

buDha falak thoDe aansu bahae

siyah abr palkon ki jhaalar uThae

chamakti hui dhup aaKHir mein aae

mutalla badan ko bichhae

pahaDon ke qadmon se

lambe samundar ki wusat-bhari sarhadon tak!

zamin ek baDi sip hai

bich barish ka wahdaniyat se labaalab bhara

ek qatra hai

jo sip mein girta hai

aur moti mein Dhalta hai

harfon ke

kaun aise jumle banata hai

jumle mein

ek code ki tarah

mani chhupata hai

ashre guzarte hain

ek nasl aati hai

mani ko

jumle ki zanjir se aa ke aazad karti hai

mani-bhare chait ka phul hai

chait ke phul ka

aur teri ungliyon ka

hazaron baras ka purana talluq hai

main chait ka phul hun

aur muallaq paDa hun

kisi darmiyani zamane mein

pahunchunga

barfile raste se hota

KHunuk rut mein

KHushbu bhare phul ki miThi muTThi

ki tahwil se hota

apne abad se

purane Thikane mein!!

(1373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chait Ka Phul In English By Famous Poet Iqtidar Javed. Chait Ka Phul is written by Iqtidar Javed. Read famous Poem Chait Ka Phul for youth and Student by Iqtidar Javed. Free Download Chait Ka Phul in PDF.