Dard Ka Jab Tak Maza Hasil Na Tha

dard ka jab tak maza hasil na tha

dil kahe jaane ke qabil dil na tha

hae un majburiyon ko kya karun

main bhi KHud fariyaad ke qabil na tha

bhik rakh lo jo duaen de gaya

wo faqir-e-ishq tha sail na tha

o luTane wale gul-ha-e-karam

sab ka dil tha kya hamara dil na tha

jaan buri mushkil bhi hum ko ai 'iram'

wo bacha lete to kuchh mushkil na tha

(843) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard Ka Jab Tak Maza Hasil Na Tha In English By Famous Poet Iram Lakhnavi. Dard Ka Jab Tak Maza Hasil Na Tha is written by Iram Lakhnavi. Read famous Poem Dard Ka Jab Tak Maza Hasil Na Tha for youth and Student by Iram Lakhnavi. Free Download Dard Ka Jab Tak Maza Hasil Na Tha in PDF.