Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae

hum bagh-e-tamanna mein din apne guzar aae

aae na bahaar aaKHir shayad na bahaar aae

rang un ke talawwun ka chhaya raha mahfil par

kuchh sina-figar uTThe kuchh sina-figar aae

fitrat hi mohabbat ki duniya se nirali hai

ho dard siwa jitna utna hi qarar aae

kya husn-e-tabiat hai kya ishq ki zinat hai

dil miT ke qarar aae rang uD ke nikhaar aae

dar se tere Takraya ek nara-e-mastana

be-nam liye tera hum tujh ko pukar aae

taswir bani dekhi ek jaan-e-tamanna ki

aansu meri aankhon mein kya silsila-war aae

kuchh un se na kahna hi thi fath mohabbat ki

jiti hui bazi ko hum jaan ke haar aae

is darja wo pyare hain kahte hi nahin banta

kya aur kaha jae jab aur bhi pyar aae

is bazm mein hum aaKHir pahunche bhi to kya paya

dil hi ki dabi choTen kuchh aur ubhaar aae

(1316) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae In English By Famous Poet Iram Lakhnavi. Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae is written by Iram Lakhnavi. Read famous Poem Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae for youth and Student by Iram Lakhnavi. Free Download Hum Bagh-e-tamanna Mein Din Apne Guzar Aae in PDF.