Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun

kitni dur se chalte chalte KHwab-nagar tak aai hun

panw mein main chhaale sah kar apne ghar tak aai hun

kali raat ke sannaTe ko main ne pichhe chhoD diya

shab-bhar tare ginte ginte dekh sahar tak aai hun

likhte likhte lafzon se meri bhi kuchh pahchan hui

sari umr ki punji le kar aaj hunar tak aai hun

shayad wo miTTi se koi teri shakl bana pae

tere KHadd-o-KHal batane kuza-gar tak aai hun

suraj ki shiddat ne mujh ko kitna hai behaal kiya

dhup ki chadar oDh ke sar pe ek shajar tak aai hun

babul ke aangan se ek din har beTi ko jaana hai

aankhon mein nae KHwab saja kar tere dar tak aai hun

apne hath mein ilm ki shama 'iram' ne thame rakkhi hai

main to ek ujala le kar dida-war tak aai hun

(897) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun In English By Famous Poet Iram Zehra. Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun is written by Iram Zehra. Read famous Poem Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun for youth and Student by Iram Zehra. Free Download Kitni Dur Se Chalte Chalte KHwab-nagar Tak Aai Hun in PDF.