Main Kai Barson Se Teri Justuju Karti Rahi

main kai barson se teri justuju karti rahi

is safar mein aarzuon ka lahu karti rahi

kya KHabar tujh ko guzari kaise main ne sham-e-gham

aansuon ka pani le kar main wuzu karti rahi

jab teri yaadon ne mujh ko nim pagal kar diya

main teri taswir se hi guftugu karti rahi

kis tarah apni tamannaon ka main karti shumar

bas tujhe pane ki har-dam aarzu karti rahi

dil ke darwaze pe jab bhi yaad ki dastak hui

main tasawwur mein jigar apna rafu karti rahi

dil ki dhaDkan kah rahi hai tu achanak aaega

KHud ko din-bhar aaine ke ru-ba-ru karti rahi

sochna bhi mat kabhi tujh ko bhula degi 'iram'

wasl ki KHwahish har ek lamha numu karti rahi

(1155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kai Barson Se Teri Justuju Karti Rahi In English By Famous Poet Iram Zehra. Main Kai Barson Se Teri Justuju Karti Rahi is written by Iram Zehra. Read famous Poem Main Kai Barson Se Teri Justuju Karti Rahi for youth and Student by Iram Zehra. Free Download Main Kai Barson Se Teri Justuju Karti Rahi in PDF.