Mere Panw Mein Pael Ki Wahi Jhankar Zinda Hai

mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai

mohabbat ki kahani mein mera kirdar zinda hai

usi ke nam se har-waqt mera dil dhaDakta hai

main zinda is liye hun ki mera dildar zinda hun

jahan kal har qadam par muskurahaT raqs karti thi

main KHush hun aaj bhi wo raunaq-e-bazar zinda hai

yahan dekha hai main ne KHud-suron ko KHak mein milte

tera sar jhuk gaya lekin mera inkar zinda hai

musawwir ne to sari dilkashi taswir mein bhar di

rahega fan salamat jab talak fankar zinda hai

meri tahzib mere sath hai mahw-e-safar har-dam

mere afkar zinda hain mera izhaar zinda hai

'iram' par dhup ka ehsas ghaalib aa nahin sakta

mere sar par abhi tak saya-e-diwar zinda hai

(3072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Panw Mein Pael Ki Wahi Jhankar Zinda Hai In English By Famous Poet Iram Zehra. Mere Panw Mein Pael Ki Wahi Jhankar Zinda Hai is written by Iram Zehra. Read famous Poem Mere Panw Mein Pael Ki Wahi Jhankar Zinda Hai for youth and Student by Iram Zehra. Free Download Mere Panw Mein Pael Ki Wahi Jhankar Zinda Hai in PDF.