Hosh Jis Waqt Bhi Aaega Giraftaron Ko

hosh jis waqt bhi aaega giraftaron ko

KHas ki manind uDa Dalenge diwaron ko

zindagi karni hai tum ko to taDapna sikho

zang lag jata hai rakkhi hui talwaron ko

zaKHm sine pe kisi ke nahin aaya ab tak

aazmaya hai bahut qaum ke sardaron ko

itne unche bhi na uTTho ki sambhal bhi na sako

hum ne girte hue dekha kai minaron ko

buzdili hai ki ye nadani hai aaKHir kya hai

log ashkon se bujhane lage angaron ko

wahi rishwat wahi ighwa wahi KHabren 'irfan'

hum to bin dekhe hi paDh lete hain aKHbaron ko

(1131) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hosh Jis Waqt Bhi Aaega Giraftaron Ko In English By Famous Poet Irfan Parbhanvi. Hosh Jis Waqt Bhi Aaega Giraftaron Ko is written by Irfan Parbhanvi. Read famous Poem Hosh Jis Waqt Bhi Aaega Giraftaron Ko for youth and Student by Irfan Parbhanvi. Free Download Hosh Jis Waqt Bhi Aaega Giraftaron Ko in PDF.