Aaj Baam-e-harf Par Imkan Bhar Main Bhi To Hun

aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun

meri jaanib ek nazar ai dida-war main bhi to hun

be-aman sae ka bhi rakh baad-e-wahshat kuchh KHayal

dekh kar chal darmiyan-e-baam-o-dar main bhi to hun

raat ke pichhle pahar pur-shor sannaTon ke beach

tu akeli to nahin ai chashm-e-tar main bhi to hun

tu agar meri talab mein phir raha hai dar-ba-dar

apni KHatir hi sahi par dar-ba-dar main bhi to hun

teri is taswir mein manzar mukammal kyun nahin

main kahan hun ye bata ai naqsh-gar main bhi to hun

sun asir-e-KHush-adai muntashir tu hi nahin

main jo KHush-atwar hun zer-o-zabar main bhi to hun

KHud-pasandi meri fitrat ka bhi wasf-e-KHas hai

be-KHabar tu hi nahin hai be-KHabar main bhi to hun

dekhti hai jun hi paspai pe aamada mujhe

ruh kahti hai badan se be-hunar main bhi to hun

dasht-e-hairat ke safar mein kab tujhe tanha kiya

ai junun main bhi to hun ai ham-safar main bhi to hun

kuza-gar be-surati sairab hone ki nahin

ab mujhe bhi shakl de is chaak par main bhi to hun

yun sada deta hai akasr koi mujh mein se mujhe

tujh ko KHush rakkhe KHuda yunhi magar main bhi to hun

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Baam-e-harf Par Imkan Bhar Main Bhi To Hun In English By Famous Poet Irfan Sattar. Aaj Baam-e-harf Par Imkan Bhar Main Bhi To Hun is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Aaj Baam-e-harf Par Imkan Bhar Main Bhi To Hun for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Aaj Baam-e-harf Par Imkan Bhar Main Bhi To Hun in PDF.