Ab Aa Bhi Jao, Bahut Din Hue Mile Hue Bhi

ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi

bhula hi denge agar dil mein kuchh gile hue bhi

hamari rah alag hai, hamare KHwab juda

hum un ke sath na honge, jo qafile hue bhi

hujum-e-shahr-e-KHirad mein bhi hum se ahl-e-junun

alag dikhenge, gareban jo hon sile hue bhi

hamein na yaad dilao hamare KHwab-e-suKHan

ki ek umr hue honT tak hile hue bhi

nazar ki, aur manazir ki baat apni jagah

hamare dil ke kahan ab, jo silsile hue bhi

yahan hai chaak-e-qafas se udhar ek aur qafas

so hum ko kya, jo chaman mein hon gul khule hue bhi

hamein to apne usulon ki jang jitni hai

kise gharaz, jo koi fath ke sile hue bhi

(1320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aa Bhi Jao, Bahut Din Hue Mile Hue Bhi In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ab Aa Bhi Jao, Bahut Din Hue Mile Hue Bhi is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ab Aa Bhi Jao, Bahut Din Hue Mile Hue Bhi for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ab Aa Bhi Jao, Bahut Din Hue Mile Hue Bhi in PDF.