Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha

ek KHwab nind ka tha sabab, jo nahin raha

us ka qalaq hai aisa ki main so nahin raha

wo ho raha hai jo main nahin chahta ki ho

aur jo main chahta hun wahi ho nahin raha

nam dida hun, ki teri KHushi par hun KHush bahut

chal chhoD, tujh se kah jo diya, ro nahin raha

ye zaKHm jis ko waqt ka marham bhi kuchh nahin

ye dagh, sail-e-girya jise dho nahin raha

ab bhi hai ranj, ranj bhi KHasa shadid hai

wo dil ko chirta hua gham go nahin raha

aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?

tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha

kya be-hisi ka daur hai logo ki ab KHayal

apne siwa kisi ka kisi ko nahin raha

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha In English By Famous Poet Irfan Sattar. Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Ek KHwab Nind Ka Tha Sabab, Jo Nahin Raha in PDF.