Idhar Kuchh Din Se Dil Ki Bekali Kam Ho Gai Hai

idhar kuchh din se dil ki bekali kam ho gai hai

teri KHwahish abhi hai to sahi kam ho gai hai

nazar dhundla rahi hai ya manazir bujh rahe hain

andhera baDh gaya ya raushni kam ho gai hai

tera hona to hai bas ek surat ka izafa

tere hone se kya teri kami kam ho gai hai

KHamoshi ko junun se dast-bardari na samjho

tajassus baDh gaya hai sar-kashi kam ho gai hai

tera rabt apne gird-o-pesh se itna ziyaada

to kya KHwabon se ab wabastagi kam ho gai hai

sar-e-taq-e-tamanna bujh gai hai sham-e-umid

udasi baDh gai hai be-dili kam ho gai hai

sabhi zinda hain aur sab ki tarah main bhi hun zinda

magar jaise kahin se zindagi kam ho gai hai

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Kuchh Din Se Dil Ki Bekali Kam Ho Gai Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Idhar Kuchh Din Se Dil Ki Bekali Kam Ho Gai Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Idhar Kuchh Din Se Dil Ki Bekali Kam Ho Gai Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Idhar Kuchh Din Se Dil Ki Bekali Kam Ho Gai Hai in PDF.