Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai

mere KHwabon se ojhal us ka chehra ho gaya hai

main aisa chahta kab tha par aisa ho gaya hai

talluq ab yahan kam hai mulaqaten ziyaada

hujum-e-shahr mein har shaKHs tanha ho gaya hai

teri takmil ki KHwahish to puri ho na pai

magar ek shaKHs mujh mein bhi adhura ho gaya hai

jo bagh-e-arzu tha ab wahi hai dasht-e-wahshat

ye dil kya hone wala tha magar kya ho gaya hai

main samjha tha siyegi aagahi chaak-e-junun ko

magar ye zaKHm to pahle se gahra ho gaya hai

main tujh se sath bhi to umr-bhar ka chahta tha

so ab tujh se gila bhi umr-bhar ka ho gaya hai

tere aane se aaya kaun sa aisa taghayyur

faqat tark-e-marasim ka mudawa ho gaya hai

mera aalam agar puchhen to un se arz karna

ki jaisa aap farmate the waisa ho gaya hai

main kya tha aur kya hun aur kya hona hai mujh ko

mera hona to jaise ek tamasha ho gaya hai

yaqinan hum ne aapas mein koi wada kiya tha

magar us guftugu ko ek arsa ho gaya hai

agarche dastaras mein aagahi hai sari duniya

magar dil ki taraf bhi ek dar wa ho gaya hai

ye bechaini hamesha se meri fitrat hai lekin

ba-qadr-e-umr is mein kuchh izafa ho gaya hai

mujhe har subh yaad aati hai bachpan ki wo aawaz

chalo 'irfan' uTh jao sawera ho gaya hai

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Mere KHwabon Se Ojhal Us Ka Chehra Ho Gaya Hai in PDF.