Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai

nazar ko phir koi chehra dikhaya ja raha hai

ye tum KHud ho ki mujh ko aazmaya ja raha hai

bahut aasudgi se roz-o-shab kaTne lage hain

mujhe malum hai mujh ko ganwaya ja raha hai

sar-e-mizhgan bagule aa ke wapas ja rahe hain

ajab tufan sine se uThaya ja raha hai

mera gham hai agar kuchh muKHtalif to is bina par

mere gham ko hansi mein kyun uDaya ja raha hai

badan kis taur shamil tha mere kar-e-junun mein

mere dhoke mein us ko kyun miTaya ja raha hai

wo diwar-e-ana jis ne mujhe tanha kiya tha

usi diwar ko mujh mein giraya ja raha hai

meri KHushiyon mein teri is KHushi ko kya kahun main

charagh-e-arzu tujh ko bujhaya ja raha hai

KHirad ki sadgi dekho ki zahir halaton se

meri wahshat ka andaza lagaya ja raha hai

abhi ai baad-e-wahshat is taraf ka ruKH na karna

yahan mujh ko bikharne se bachaya ja raha hai

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Nazar Ko Phir Koi Chehra Dikhaya Ja Raha Hai in PDF.