Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun

raftagan ki sada nahin main hun

ye tera wahima nahin main hun

tere mazi ke sath dafn kahin

mera ek waqia nahin main hun

kya mila intiha-pasandi se

kya main tere siwa nahin main hun

ek muddat mein ja ke mujh pe khula

chand hasrat-zada nahin main hun

us ne mujh ko muhaal jaan liya

main ye kahta raha nahin main hun

main hi ujlat mein aa gaya tha idhar

ye zamana naya nahin main hun

meri wahshat se Dar gae shayad

yar baad-e-fana nahin main hun

main tere sath rah gaya hun kahin

waqt Thahra hua nahin main hun

gahe gahe suKHan zaruri hai

samne aaina nahin main hun

sarsari kyun guzarta hai mujhe

ye mera majra nahin main hun

us ne puchha kahan gaya wo shaKHs

kya batata ki tha nahin main hun

ye kise dekhta hai mujh se udhar

tere aage KHala nahin main hun

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun In English By Famous Poet Irfan Sattar. Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Raftagan Ki Sada Nahin Main Hun in PDF.