Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte

rakh ke Dher pe kya shoala-bayani karte

ek qisse ki bhala kitni kahani karte

husn itna tha ki mumkin hi na thi KHud-nigari

ek imkan ki kab tak nigarani karte

shola-e-jaan ko bujhate yunhi qatra qatra

KHud ko hum aag banate tujhe pani karte

phul sa tujh ko mahakta hua rakhte shab bhar

apne sanson se tujhe raat ki rani karte

naddiyan dekhen to bas sharm se pani ho jaen

chashm-e-KHun-basta se paida wo rawani karte

sab se kahte ki ye qissa hai purana sahab

aah ki aanch se taswir purani karte

dar-o-diwar badalne mein kahan ki mushkil

ghar jo hota to bhala naql-e-makani karte

koi aa jata kabhi yunhi agar dil ke qarib

hum tera zikr pae-yaad-dahani karte

sach to ye hai ki tere hijr ka ab ranj nahin

kya dikhawe ke liye ashk-fishani karte

dil ko har lahza hi di aql pe hum ne tarjih

yar-e-jaani ko kahan dushman-e-jaani karte

shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfan'

harf-e-KHush-rang ko andoh-e-maani karte

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte In English By Famous Poet Irfan Sattar. Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Rakh Ke Dher Pe Kya Shoala-bayani Karte in PDF.