Sabhi Ye Puchhte Rahte Hain Kya Gum Ho Gaya Hai

sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai

bata dun? mujh se KHud apna pata gum ho gaya hai

tumhaare din mein ek rudad thi jo kho gai hai

hamari raat mein ek KHwab tha, gum ho gaya hai

wo jis ke pech-o-KHam mein dastan lipTi hui thi

kahani mein kahin wo majra gum ho gaya hai

zara ahl-e-junun aao hamein rasta sujhao

yahan hum aql walon ka KHuda gum ho gaya hai

nazar baqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab

suKHan baqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai

mujhe dukh hai ki zaKHm o ranj ke is jamghaTe mein

tumhaara aur mera waqia gum ho gaya hai

ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti

yaqinan aur kuchh us ke siwa gum ho gaya hai

wo jis ko khinchne se zat ki parten khulengi

hamari zindagi ka wo sira gum ho gaya hai

wo dar wa ho na ho, aazad o KHud-bin hum kahan ke

palaT aaen to samjho rasta gum ho gaya hai

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabhi Ye Puchhte Rahte Hain Kya Gum Ho Gaya Hai In English By Famous Poet Irfan Sattar. Sabhi Ye Puchhte Rahte Hain Kya Gum Ho Gaya Hai is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Sabhi Ye Puchhte Rahte Hain Kya Gum Ho Gaya Hai for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Sabhi Ye Puchhte Rahte Hain Kya Gum Ho Gaya Hai in PDF.