Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae

shaguftagi se gae, dil-giraftagi se gae

hum aaj KHalwat-e-jaan mein bhi be-dili se gae

gila karen bhi to kis se wo na-murad-e-junun

jo KHud zawal ki jaanib baDi KHushi se gae

suna hai ahl-e-KHirad ka hai daur-e-ainda

ye baat hai to samajh lo ki hum abhi se gae

KHuda kare na kabhi mil sake dawam-e-visal

jiyenge KHak agar tere KHwab hi se gae

hai ye bhi KHauf hamein be-tawajjohi se siwa

ki jis nazar se tawaqqoa hai gir usi se gae

maqam kis ka kahan hai, buland kis se hai kaun?

miyan ye fikr karoge to shairi se gae

har ek dar pe jabin Tekte ye sajda-guzar

KHuda ki khoj mein nikle the aur KHudi se gae

samajhte kyun nahin ye shaer-e-karaKHt-nawa

suKHan kahan ka jo lahje ki dilkashi se gae

gali thi sahn ka hissa hamare bachpan mein

makan baDe hue lekin kushadgi se gae

barae ahl-e-jahan lakh kaj-kulah the hum

gae harim-e-suKHan mein to aajizi se gae

ye tez raushni raaton ka husn kha gai hai

tumhaare shahr mein hum apni chandni se gae

faqih-e-shahr ki har baat man lo chup-chap

agar sawal uThaya, to zindagi se gae

na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain

jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae

uThao raKHt-e-safar, aao ab chalo 'irfan'

hasin yahan ke to sab KHu-e-dilbari se gae

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae In English By Famous Poet Irfan Sattar. Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Shaguftagi Se Gae, Dil-giraftagi Se Gae in PDF.