SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki

suKHan ke shauq mein tauhin harf ki nahin ki

ki hum ne dad ki KHwahish mein shaeri nahin ki

jo KHud-pasand the un se suKHan kiya kam kam

jo kaj-kulah the un se to baat bhi nahin ki

kabhi bhi hum ne na ki koi baat maslahatan

munafiqat ki himayat, nahin, kabhi nahin ki

dikhai deta kahan phir alag se apna wajud

so hum ne zat ki tafhim aaKHiri nahin ki

use bataya nahin hai ki main badan mein nahin

jo baat sab se zaruri hai wo abhi nahin ki

ba-nam-e-KHush-nafasi hum to aah bharte rahe

ki sirf ranj kiya hum ne, zindagi nahin ki

hamesha dil ko mayassar rahi hai daulat-e-hijr

junun ke rizq mein us ne kabhi kami nahin ki

ba-sad KHulus uThata raha sabhi ke ye naz

hamare dil ne hamari hi dilbari nahin ki

jise watira banae rahi wo chashm-e-ghazal

wo be-ruKHi ki suhulat hamein bhi thi, nahin ki

hai ek umr se mamul roz ka 'irfan'

dua-e-radd-e-ana hum ne aaj hi nahin ki

(631) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki In English By Famous Poet Irfan Sattar. SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki is written by Irfan Sattar. Read famous Poem SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download SuKHan Ke Shauq Mein Tauhin Harf Ki Nahin Ki in PDF.