Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun

wafa ke bab mein apna misaliya ho jaun

tere firaq se pahle hi main juda ho jaun

main apne-ap ko tere sabab se jaanta hun

tere yaqin se haT kar to wahima ho jaun

talluqat ke barzaKH mein ain-mumkin hai

zara sa dukh wo mujhe de to main tera ho jaun

abhi main KHush hun to ghafil na jaan KHud se mujhe

na jaane kaun si laghzish pe main KHafa ho jaun

abhi to rah mein hail hai aarzu ki fasil

zara ye ishq siwa ho to ja-ba-ja ho jaun

abhi to waqt tanaffus ke sath chalta hai

zara Thahar ki main is jism se riha ho jaun

abhi to main bhi teri justuju mein shamil hun

qarib hai ki tamanna se mawara ho jaun

KHamoshiyan hain andhera hai be-yaqini hai

na ho jo yaad bhi teri to main KHala ho jaun

kisi se mil ke bichhaDna baDi aziyyat hai

to kya main ahd-e-tamana ka fasla ho jaun

tere KHayal ki surat-gari ka shauq liye

main KHwab ho to gaya hun ab aur kya ho jaun?

ye harf o saut ka rishta hai zindagi ki dalil

KHuda wo din na dikhae ki be-sada ho jaun

wo jis ne mujh ko tere hijr mein bahaal rakha

tu aa gaya hai to kya us se bewafa ho jaun

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun In English By Famous Poet Irfan Sattar. Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Wafa Ke Bab Mein Apna Misaliya Ho Jaun in PDF.