Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya

wo charagh-e-jaan ki charagh tha kahin rahguzar mein bujh gaya

main jo ek shoala-nazhad tha hawas-e-qarar mein bujh gaya

mujhe kya KHabar thi teri jabin ki wo raushni mere dam se thi

main ajib sada-mizaj tha tere e'tibar mein bujh gaya

mujhe ranj hai ki main mausamon ki tawaqquat se kam raha

meri lau ko jis mein aman mili main usi bahaar mein bujh gaya

wo jo lams meri talab raha wo jhulas gaya meri khoj mein

so main us ki tab na la saka kaf-e-dagh-dar mein bujh gaya

jinhen raushni ka lihaz tha jinhen apne KHwab pe naz tha

main unhi ki saf mein jala kiya main usi qatar mein bujh gaya

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya In English By Famous Poet Irfan Sattar. Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya is written by Irfan Sattar. Read famous Poem Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya for youth and Student by Irfan Sattar. Free Download Wo Charagh-e-jaan Ki Charagh Tha Kahin Rahguzar Mein Bujh Gaya in PDF.