Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai

ab zaban KHanjar-e-qatil ki sana karti hai

hum wahi karte hain jo KHalq-e-KHuda karti hai

phir koi raat bujha deti hai meri aanhken

phir koi subh dariche mere wa karti hai

ek paiman-e-wafa KHak-basar hai sar-e-sham

KHema KHali hua tanhai aza karti hai

hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein

hum to sunet the ki zanjir sada karti hai

kaisi miTTi hai ki daman se lipaTti hi nahin

kaisi man hai ki jo bachchon ko juda karti hai

ab numudar ho is gard se ai naqa-sawar

kab se basti tere milne ki dua karti hai

(611) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Ab Zaban KHanjar-e-qatil Ki Sana Karti Hai in PDF.