Ek Tariqa Ye Bhi Hai Jab Jina Ek Na-chaari Ho

ek tariqa ye bhi hai jab jina ek na-chaari ho

hath bandhe hon sine par dil baiat se inkari ho

jashn-e-zafar ek aur safar ki saat ka dibacha hai

KHema-e-shab mein raqs bhi ho aur kuch ki bhi tayyari ho

is se kam par ram-KHurdun ka kaun taaqub karta hai

ya banu-e-ku-e-awadh ho ya aahu-e-tatari ho

daim hai sultani hum shahzadon KHak-nihadon ki

barq-o-sharar ki masnad ho ya taKHt-e-baad-e-bahaari ho

hum to raat ka matlab samjhen KHwab, sitare, chand, charagh

aage ka ahwal wo jaane jis ne raat guzari ho

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Tariqa Ye Bhi Hai Jab Jina Ek Na-chaari Ho In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Ek Tariqa Ye Bhi Hai Jab Jina Ek Na-chaari Ho is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Ek Tariqa Ye Bhi Hai Jab Jina Ek Na-chaari Ho for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Ek Tariqa Ye Bhi Hai Jab Jina Ek Na-chaari Ho in PDF.