Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain

faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain

dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna

buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain

junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai

rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain

mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka

magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain

jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota

parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain

hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta

ki hum daftar bhi jate hain ghazal-KHwani bhi karte hain

bahut nauhagari karte hain dil ke TuT jaane ki

kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain

(600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain In English By Famous Poet Irfan Siddiqi. Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain is written by Irfan Siddiqi. Read famous Poem Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain for youth and Student by Irfan Siddiqi. Free Download Faqiri Mein Ye ThoDi Si Tan-asani Bhi Karte Hain in PDF.